A SPECIAL DAY FOR SOMEONE SPECIAL
Aaj ka din sirf tumhare naam... Because someone special was born today!
Kuch moments special hote hain, aur kuch log un moments ko beautiful bana dete hain. ✨
Close your eyes and make a wish! ✨
Kuch songs sirf sune nahi jaate, balki feel kiye jaate hain. ✨
There is something I want to tell you...
Wish you a very, very Happy Birthday, Jaan! 🎂❤️
Allah tumhe zindagi ke har mod par kaamyaabi ata farmaye.
Tumhara aane wala har ek din khushiyon aur sukoon se bhara ho.
Tumhe duniya ki har woh jaayaz cheez mile jo tum dil se chahte ho,
aur zindagi mein hamesha dher saari duayein aur mohabbat mile. 🤲✨
Tum meri zindagi ka ek sabse khoobsurat hissa ho.
Tum aaye toh zindagi kuch aur hi khoobsurat lagne lagi,
jaise sab kuch mukammal ho gaya ho.
Tum paas hote ho toh har cheez achhi lagne lagti hai.
Tumhari maujoodgi hi mere liye bahut khaas hai. ❤️
Main dil se dua karti hoon ki In Shaa Allah tumhara
har aane wala din pehle se zyada khoobsurat ho.
Tumhari har mushkil aasaan ho, har khwaab poora ho
aur tumhare chehre ki muskurahat kabhi kam na ho.
Once again, Happy Birthday, My Love! ❤️
Allah tumhe hamesha apni hifazat mein rakhe. Ameen! 🤲